Aahat, jise hum mehsoos karte they
Awaz, jise hum suna karte they
wo chera tha anjana tera
jise band ankho se hum dekha karte they
badlo mein teri tasveer banate they
pani ki barf hato mein jamate they
sagar ki lehre uthti thi kinaro ki taraf
har kinare pe khade hoke hum tujhe awaz lagate they
tera milna tha yu kismat hamari
kyon har lakeer par hum kehar dhate they
tera ishk hi to jannat hai
kyon hum asuon ka makbara banate they
jindagi tere naam kar dunga
har khusi tujhpe nisaar kar dunga
tujhe pana hi to ab ik sapna hai
na mili to akhri salam kar dunga
o pariyo ki rani baharo ki malika
meri sanson ki kasti ab tere hi sahare hai
dubna chati hai ye ishk ke samandar mein
na dubi to iski duniya tere hi hawale hai