na ansu nikle na awaz aayee
dil toot gaya hamara par baat juba par na aayee
kis se kehte hum hale-dil apna
jab jab najar uthayee, khud ki tasveer najar aayee
yu laga kismat ne li fir angdayee
ye kya hua, ek bar dard ki lehar fir aayee
khud ko to sambhal liya par waqt par jor na chal saka
kabhi hawa se thokar khayee to kabhi lamho se saja payee
dil ne na jane kaisi kaisi chahat banayee
har sapna har manjil adhuree najar aayee
bas ek himmat hi hai jo hame apni najar aayee
bas isi ke dum pe hamne iss jaha me thodi si jageh apni banayee
par aise jine ka mann nahi karta ab
badi bereham hai ye duniya, sansein lene ka man nahi karta ab
par hamari jindagi par auro ka bi haq hai
ghabra nahi pyare ye bi ek waqt hai
badlega mausam, hawa ka rukh bi badlega
apna waqt aayega to sabka waqt badlega
bas isi umeed mein ji rahe hai hum
par khali umeed se jivan nahi badlega
bohat kuch karna hai, bada lamba safar hai
na jane kya hoga, bas manjil pe najar hai
e bhagwan tu sath de mera
tere hi sahare iss duniya mein aman hai